Lyrics of Bhar do jholi meri— sung by Danish and Dawar
Lyrics
Tumhare Astane se
Zamana kya nahi paatha
Koyi bhi edharse khali
Mangne walaa nahi jatha
Bhar do jholiee....
Tum zamane ke Mukhtaar ho ya Nabi
Bekasoke madadgar ho ya Nabi
Subki sunte ho apne ho ya gair ho (×2)
Tum garibon ke ghamkhuar ho ya nabi
Bhar do jholi....
Bhar do jholi meri ya Mohammad
Lautkar mein na jaunga khali
Hum hey ranjon Musibat ke mare huye
Sakht Mushkil mey hein ghumse haare huye
Ya nabi kuch khuda rah mey bheek do(×2)
Dar pey aaye hai jholi pasare huye
Bhar do jholi.....
Bhar do jholi meri sarkar-e-madina,
Lautkar mein na jaunga khali
Bhar do jholi meri tajdaar-e-madina,
Lautkar mein na jaunga khali
Jo ibne Murtazane kiya kam khub hai
Qurbani ye Husain ka anjam khub hai
Qurban hoke Fatima Zehra ke chain ray
Din-e-khuda ke shan baraiye Hussain ray
Bakshi hai jisne Mazhab-e-Islam ko hayath
Kitni azeem Hazrat-e-shabbir ki hai zaat
Maidaan-e-karbala mein shah-e-khush kisalene (×2)
Sajde mein sar katake Muhammad ke Lal ne (×2)
Zindagi bakhsh di bandegiko...
Abrudine haq ki wo chali (×2)
Wo Muhammad ka pyaara nawasa
Jisne sajde mein gardan kata li
Bhardo jholi meri ya Mohammad
Lautkar mein na jaunga khali
Bhardo jholi meri sarkar-e-madina lautkar mein na jaunga khali
Mehesher ke roz pesh khuda hoge jis garhi
Hogi gunahgaron mein kis darja be kali
Aate huye Nabi ko jo dekheingey ummati (×2)
Ek dusre se sub ye kahenge khushi khushi
Aa rahe hai woh dekho Muhammed(×2)
Jinke kandhe pe kamli hai daali
Bhar do jholi meri sarkar-e-madina,
Lautkar mein na jaunga khali
Bhar do jholi meri tajdaar-e-madina,
Lautkar mein na jaunga khali
Hai Mukhalif zamane kidhar jaye hum,
Halat-e-bekasi kisko dikhlaye hum
Hum tumhare Bhikari hai ya Mustafa(×2)
Kiske Aage bhala hath felaye hum
Bhar do jholi meri tajdaar-e-madina,
Lautkar mein na jaunga khali
Bhar do jholi meri sarkar-e-madina, lautkar mein na jaunga khali.
Comments
Post a Comment